Thursday, February 25, 2010

Ammaa

" AMMAA"


Kaun aayega ki ab koi nahi aayega

Kaun un khidkiyon se cheekh ke bulayega

Sukhi hui balliyon pe tiki tapakti si chat

Aur aangan ke kone pada soona sa takhat

sab rote hain pareshan hain sisakte hain

kaun ab sher ki kahaniyan sunayega

Matmailay kivaad ki wo zang lagi saankal

Wo naye shehar ki puraani baakhal

Kitna shor karte hain par kis darja soone hain

kya khabar thi ki sab ek roz badal jayega

woh pinjare ki aur "mitthu mitthu" ki pukaar

Kacche aangan ke ek laute darakht ka khayaal

taakh pe rakhi woh chunaitee paandaan

woh chulhe pe pade phukni chimte ke nishaan

Woh Sil batte pe pisi kabeet ki chatni

kaun woh naat gungunayega

Kaun aayega ki ab koi nahi aayega

kaun un khidkiyon se cheekh ke bulayega!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!




Tuesday, February 23, 2010

Dastoor


Ek anokha Ek begana,

ulfat ka dastoor hai.


uns hai usse utni zyada,


jo jitna door door hai.


Jab tak uspar hum they kurbaan,


Lagta tha wo sangdil.


Aaj zara si berukhi ki,


Maanind-e-sheesha choor hai.




Uljhe uljhe pechida se,


Rishton ke hai falsafey.


Saanjh kabhi lagti hai,


Kabhi lagta hai shayad Bhor hai.




Dushman-e-dil se dushmani ko,


Talaash kiye dushman naye.


Dushman-e-wafa ban baithey hum


ab charcha yeh har aur hai.




Bujha di aatish-e-wafa,


Kuch khayaal jo jal gaye.


Kyun kehta tha Shayar jaane,


Ishq par na zor hai???